Saturday, November 14, 2009

The Shayari Scratchpad

Well, why follow the rest in naming a compilation as diaries like the 'The Motorcycle Diaries' or 'The Basketball Diaries' etc. So here it is the shayari notepad or scratchpad, as you know there always exists a possibility of improvising on the same.
I am not a scholar, I am not a writer...
I am not a Shayar, its just that my words are on fire !

Pyar ke rahon mein chalna tumne sikhaya....
Pyar ke haseen ehsaason ke sapne sajana tumne sikhaya....
Zindagi ke najane kis ajeeb mod pe, jab tum chal diye apne raaste, tanha hum reh gaye...
Tere intezaar mein hum khade hai unhe raahon mein, jahan hum judaa ho gaye.....

En haseen lamhon ke ehsaason mein kho jana hai
Bas tere intezaar mein waqt guzaarna hai
Jo bitaya tha humne pyar ke do pal
Unhe jeevan bhar yaad karna hai

Tere Khamoshi ne woh saare baatein keh diya
Tere dil ke dhadkanon ne dard ko bayan kar diya
Dil ne to chaaha tha ke tera har sapna poora ho
Ab to dil bas itna chaahta hai ke tera dard kam ho

Humne muskurake saare Gham chupa liye
Zindagi ke savade mein saare sapane bech diye
Zindagi ke in tede mede raaston mein aise ulaj gaye ke manzil bhool gaye

Chhaha hai tume sacche dil se
maanga hai tume rab se badi mannat se
phir se aaoge tum mere zindagi mein
ban jaaoge tum sur mere jeevan se sangeet mein

Aaaj Shaam samudra ke teer par chalte chalte yeh khayal aaya....
samudra ke lehroon ke tarah, mann mein ashaein uth rahe hai
dil ke dhadkane tumse milne ke khushi mein tez ho rahe hai
yeh dil to pagal hai, jo samjhata he nahi
bas tere aane ke intezaar mein sapane sajata hai

Tumhare ek haseen ehsaas ka ek lamha bana do humme..
Tumhare khayaloan mein guzara hua kal bana do humme.. 
Tumare kahani ka kissa na ban sake...
Bas itni se dua hai khuda se
Tumhare ek muskaan ke vajah bana do humme...Amen

Iss dard ko humsafar banake hum chale 
Najane kahan le jayange yeh zindagi ke raahein 
Tumhare bina na rasate ka na manzil ka hai humme pata
Tasalle milli iss dil ko... 
Jab tum mere parchayi mein nazar aaye.

Aasun beh gaye iss baarish mein
Jise saare armaan ghul gaye ho 
zindagi ke majbooriyon mein
Ek diya dikha tha door se
Ek toofan se usse bachane hum chale
Najane kaise hai yeh kismat 
aakhir mein hum teeno humsafar ban ke chale


4 comments:

Amari said...

I think u should take up poetry seriously! ur good!

akk said...

Nice Shayaris dude...keep them coming....

akk said...

I felt u should have used the word "Samundar" instead of "samudra" in ur last shayari...

aaj Shaam samudra ke teer par chalte chalte yeh khayal aaya....
samudra ke lehroon ke tarah, mann mein ashaein uth rahe hai
dil ke dhadkane tumse milne ke khushi mein tez ho rahe hai
yeh dil to pagal hai, jo samjhata he nahi
bas tere aane ke intezaar mein sapane sajata hai

arthalogybytheguru said...

It's just a classic tale. Words reflect your oratory skills also. At the start, i thought it is a film story, but not.
I want to add one more line here....
I am feeling, she should be very pretty, just because of the way, so nicely, she talked to you., if in reality, she is there, introduce me.

ReadersSpeak

Get Recent Comments Widget